Tu Shah e khuban-Farhan Ali Qadri

Tu Shah e khuban, tu jaan e janaan, hai chehra umm ul kitab tera
Na ban saki hai, na ban sake ga, misal teri, jawab tera.

Tu sab say awal, tu sab say akhir, mila hai husn e dawam tujko
Hai umar lakhon baras ki teri, magar hai taza shabab tera.

Khuda ki ghairat ne dal rakhay hain tuj pay satar hazaar parde
Jahaan mein lakhon hi tur bantay jo eik bhi utha hijab tera.

Ho mushq o ambar, ya boo e jannat, nazar main uski hai be-haqeeqat
Mila hai jisko, mala hai jisnay paseena rashk e gulaab tera.

Mein teray husn o bayaan ke sadqay, mein teri meethi zubaan kay sadqay
Ba rang e khushboo diloon pay utra hai kitna dilkash khitaab tera.
Tu Shah e khuba, tu jaan e jana, hai chehra ummul kitab tera
Na ban saki hai, na ban sake ga, misal teri, jawab tera.

Hai tu bhi sa’em ajeeb insaan jo khouf e mehshar say hai harasaan
Aray tu jinki hai naat parta wohi to lain gay hisaab tera.

Hein tu bi saa’im ajeeb insaan ke roz e mehshar say hai harasan
Are tu jin ki hein naat parta wohi to lenge hisab tera.