Aa dil mey thujhay rakh loon aey jalwae janana-Owais Qadri

Bay khud ki yeh daythay hey andaaz hijabana
Aa dil mey thujhay rakh loon aey jalwae janana

Kyun aankh mila’ee thi kyun aag laga’ee thi
ab rukh ko chupa beyt-hay kar kay mujhay deewanah

Jis ja nazar aathay ho sajday wahi kartha hoon
iss say nahi kuch matlab kaba ho ya buth khana

Ji chahta hey thofay mey dey doon mey unhin ankheyn
darshan ka tho darshan ho nazranay ka nazrana

Mey howsh howaas apnay iss baath pey kho beyt-ha
hans kar jo kaha thu nay aaya mera deewanah

Duniya mey mujhay thu nay gar apana banaya hey
Mehshar mey bhi keh deyna yeh hey mera deewanah

Ithna tho karam karna aey nargis masthana
Jab jaan labo par ho thum deed kara janana

Baydam meri qismath mey sajday hey isi dar key
choowta hey na choowtay ga sang dar jananah

Ji chahta hey thofay mey dey doon mey unhin ankheyn
darshan ka tho darshan ho nazranay ka nazrana
Jis ja nazar atte ho sajde wahin karta houn
Is se nahi kuch matlab kabba ho ja butkhana…

Maidane mehshar me tum saath khaday rehna
na jane KHUDA kuch pooche, aur na jane kya kehde ye diwana

Peenay ko tho peelon ga, par shart zara si hey
Ajmer ka saki ho, Baghdad ka mehana

Peene ko to pee lungaa, par shart zara si hai
Baghdad ka saqi ho, Minhaj ka maiqana

Peenay ko tho peelun ga, par shart zara si hey
Tahir mera saki ho, Minhaj ka meyhana

Peene ko to peelunga, par shart zara si hai
Baghdad ka saqi ho, Sarhind ka maiqana

Sar shaar muje kar dei aik jaam laba lab see
Tahashar-e rahe saki abaad ye maiqanaa

Dil apne chamak utheeemaan ki talat see
Kar ankheen bhi noraani aa jalwa aa janana

Har phool mein boo teri har shama mein zoo teri
Bulbul hai tera bulbul parwana hai parwana