Dil Madinah mera bana Aaqa-Owais Qadri

Dil madinah mera bana Aaqa 
Ho mujhe chashm-e-nam ataa Aaqa 

Ab huzoori ho, dur doori ho,
Phir madinay mujhe bula Aaqa

Maut kay baad, bhi suroor aaye,
Aisi ulfat ki mai pila Aaqa 

Mujh ko Siddiq (Radi Allahu Anhu) ki sadaqat ka,
Koi zara Tu kar ataa Aaqa

Kash roay Khashiyat-e-Rab say,
Behr-e-Farooq dil mera Aaka

Behr-e-Usman ba haya mujh ko,
Dijiye dolat-e-haya Aqa 

Behr-e-Mola Ali mujhe ghalba,
Dushmano per tu kar ataa Aaka 

Az paye Fatima (Radi Allahu Anha) mujhe apnay,
Ishq mein har ghari rula Aaka

Behr-e-Hasnain day panah mujh ko,
Paikar-e-sabr or riza Aaqa (SAW).

Mujh ko sadqay mein Bu-Hanifa kay,
Aalim-e-baa amal bana Aaqa (SAW).

Waasta tujh ko Ghous-e-Azam ka,
Naik seerat mujhe bana Aaqa

Waasta tujh ko Alahazrat ka,
Tu mujhe muttaqi bana Aaqa

Mere ahlo-ayaal ore mujh say,
Door ho jaye har bala Aaqa

Muskura kar Ubaid say keh do,
Tu mera banda mein tera Aaqa