Jitna mere Khuda ko hai-Imam Hassan Raza

jitna mere khuda ko hai mera nabi aziz
konain me kisi ko naho ga aziz

kiyu jaye hum kahi ke ghani tum ne kar diya
ab to ye dar pasand ye ghar ye gali aziz

jo kuch teri riza hai khuda ki wahi khushi
jo kuch teri kushi hai khuda ko wahi aziz

khak-e-madina par allah mout de
wo murda dil hai jisko na ho zindagi aziz

shan-e-karam ko ache bure se gharaz nahi
use sabhi pasand hai use sabhi aziz

mangta ka haat utha to madina hi ki taraf
tera hi dar pasand teri hi gali aziz

konain de diye hai tere iqteyaar me
allah ko bhi kitni hai qatir teri aziz

mahshar me do jaha ko khuda ki khushi ki chah
mere huzoor ki hai khuda ko hai khushi aziz

quraan kha raha hai usi haat ki qasam
hum kon hai khuda ko hai teri gali aziz
taiba ke hote khuld-e-bari kiya karu Hassan
mujh ko yehi pasand hai mujh ko yehi aziz