Na Kahein Say Door Hain Manzelain-Waheed Zafar

Na kahin Se door hain manzilein,na koi qareeb ki baat hai
Jise chahay Uss Ko nawaz de, ye dar-e-Habib ki baat hai

Jisay chaha dar pe bulaa liya, jisay chaha apna bana liya
Ye baray karam ke hain faisle, ye baray naseeb ki baat hai

Woh bhatak ke raah main reh gayi, ye machal ke darr se lipat gayi
Woh kisi ameer ki shaan thi, ye kisi ghareeb ki baat hai

Mujhe jaan se barh ke azeez dil, mera dard dil se azeez tar
Hai jo dard se bhi azeez tar, woh mere Tabeeb ki baat hai

Mein buron se laakh buraa sahi, magar unse hai mera waasta
Meri laaj rakh le mere khuda, ye tere Habeeb ki baat hai

Tujhe ayee Munaware-be-Nawaa, dar-e-sheh se chahiye aur kya
Jo naseeb ho kabhi samna, to bade naseeb ki baat hai