Taajdaare Haram-Mushtaq Qadri

Taajdaare haram ae shahanshaahe deen
aap pe hardam karooro duroodo salaam
Ho nigahe karam hum pe sultan-e-deen
Door reh kar na dam toot jae kahi
Kaash taiba mein ae meri maahi mubeen
Dafn hone ko mil jae do gaaz zameen
Aap pe hardam karooro duroodo salaam...

Koi husne amal paas mere nahi
Phas na jau Qayamat mein mola kahi
Ae shafiye umam laaj rakhna meri
Aap pe hardam karooro duroodo salaam...

Teri yaadon se mamuur sina rahe
Samne mere har dam madina rahe
Bas mein deewana ban jau sultaa-e-deen
Phir bulalo madine mein attar ko
Yeh tarapta hai tayba ke deedar ko
Aur is ke siwa aarzoo hi nahi
aap pe hardam karooron duroodo salaam

Taajdaare haram a shahanshahe deen
Aap pe hardam karooro duroodo salaam...