Nabi ka diar aankhon main-WaQas Mir

Basa huva hay nabi ka diar aankhon main
Sajaye baithha hoon ek jalva zaar aankhon main

Diar-e-pak ka her manzar-e-haseen-o-jameel
Ruhay ga ka’ba qaza yad gar aankhon main

Basa huva hay nabi ka diar aankhon main
Ata kia jo madinay ke basion nay mujhe

Mehak ruha hay ab tak voh piar aankhon main.
Ab iss say barh ke koi surma aur kia ho ga?

Samait laya hoon main kuch ghubar aankhon main.
Basa huva hay nabee ka diar aankhon main

Baghair dekhe madeena inhain nazar aaya
Hain munfarid meri aankhain hazar aankhon main.

Basa huva hay nabi ka diar aankhon main
Tarap hay dil main madeenay ke jalva zaron kee!

Aur intizar-e-safar bayqarar aankhon main.
Basa huva hay nabee  ka diar aankhon main

Sunaoun ga voh kahani huzoor  ko ja ker
Chchupaye baitha hoon jo ashkbar aankhon main

Hay e’etmad bhee iqbal ko shafa’at per
Saza ka khouf bhee hay gunahgar aankhon main

Basa huva hay nabee ka diar aankhon main
Sajaye baitha hoon ik jalvazaar aankhon main