Kaash aaey bulaawaa mujhay darbaar E Nabi say-Arif Attari

Afsos bohot door hoon gulzaar E Nabi say
Kaash aaey bulaawaa mujhay darbaar E Nabi say

Ulfat hein mujhay gesoo E Khumdaar E Nabi say
Abroo palk E Aankh E Rukhsaar E Nabi say

Perahan o chaadar say asaa say hein muhabbat
Naalain e sharifain say dastaar e nabi say

Busairey mubarak ho tujhay burd e yamaaney
Soghaat miley khoob hein darbaar e nabi say

Beemaar kyu maayoos hein too husn e yaqeen say
Dam jaa kay karaalay kisey beemaar e nabi say

Too beher e shahaa karb o balaa khwaab mein ya rab
Farmaaday musharaf mujhay deedaar e nabi say

Allah ko maanay jo muhammad ko na maanay
Laraib woh naarey huwa angaar e nabi say

Woh naar e jahanum ka hein haqdaar yaqeenan
Hein jis ko udaawat kisey bhey yaar e nabi say

Ay zaair e taibah yeh dua kar merey haq mein
Mujh ko bhey bulaawaa miley darbaar e nabi say

Duniya kay nazaaro say balaa ho kya saro kaar
Aashiq ko faqat ishq hein gulzaar e nabi say

Ushaaq kay aansoon nahi thamthay dam e rukhsat
Jab sooe watan jaatay hein darbaar e nabi say

Jalwon say khudaayaa mera seena ho madinah
Aankhein bhey ho thandey merey deedaar e nabi say

Sunnat hein safr e deen key tableegh key khaathir
Miltaa hein sayhumein dars yeh isfaar e nabi say

Mastaanaa madinay mein khudaa aysa banaa day
Tukraa kay mein dam tor doon deewaar e nabi say

Sadqay mein merey ghaus kay ho dhoor andhera
Turbat ho munawar merey anwaar e nabi say

Jab qabr mein aaeyn gay to qadmo mein ghiroon ga
Khoob aankhein maloon ga mein to payzaar e nabi say

Attar hein iman key hifaazat ka suwaaley
Khaaley nahin jaaey ga yeh darbaar e nabi

Afsos bohot door hoon gulzaar e nabi say
Kaash aaey bulaawaa mujhay darbaar e nabi say

Ulfat hein mujhay gesoo e khumdaar e nabi say
Abroo palk e aankh e rukhsaar e nabi say

Perahan o chaadar say asaa say hein muhabbat
Naalain e sharifain say dastaar e nabi say

Busairey mubarak ho tujhay burd e yamaaney
Soghaat miley khoob hein darbaar e nabi say

Beemaar kyu maayoos hein too husn e yaqeen say
Dam jaa kay karaalay kisey beemaar e nabi say