Kabay par pari jab pehli nazar Hamd

Kaabay Peh Pari Jab Pehli Nazar
Kiya Cheez Hai Duniya Bhool Gaya

Yoon Hosh-O-Khirad Maflooj Huay
Dil Zauq-E-Tamaasha Bhool Gaya

Phir Rooh Ko Izn-E-Raqs Mila
Khwabeedah Junoon Bedaar Huaa

Talwon Ka Taqaza Yaad Raha
Nazron Ka Taqaza Bhool Gaya

Ehsaas Ke Parday Lehraaye
Imaan Ki Haraarat Tez Huee

Sajdon Ki Tadap Allah Allah
Sar Apna Sauda Bhool Gaya

Jiss Waqt Dua Ko Haath Uthay
Yaad Aa Na Saka Jo Socha Tha

Izhaar-E-Aqeedat Ki Dhun Mein
Izhaar-E-Tamanna Bhool Gaya

Pohncha Jo Haram Ki Chaukhat Per
Ik Abr-E-Karam Nay Ghair Liya

Baqi Na Raha Yeh Hosh Mujhay
Kiya Maang Liya, Kiya Bhool Gaya

Her Waqt Barasti Hai Rehmat
Kaabay Mein Jamil, Allah Allah

Khaati Hoon Mein Kitna Bhool Gaya
Khaati Hoon Mein Kitna Bhool Gaya