Arshe Aala say A'ala -Owais Qadri

Arshe Aala say A'ala meethe Nabi ka Roza
Hai her maqaan say baala Meethe Nabi Roza

Kaisa hai piyaara piyaara ye Sabz Gumbad
Kitna hai Meetha Meetha Meethay Nabi ka Roza

Firdoos ki bolandi bhe choo sake na Is ko
Kholde-e-Bareen say ooncha Meethe Nabi ka Roza

Makkhe say is leye bhe afzal howa Madina
Hissay mein is kay aaya Meethe Nabi ka Roza

Ka'abe ki Azmatoon ka munkir nahi hoon laiken
Ka'abe ka bhe hai Kabah Meethe Nabi ka Roza

Aansoon Chalak pare or betaab ho gia dil
Jis waqt mein ne dikha Meethe Nabi ka Roza

Ho gi Shifa'at us ki jis ne Madinay aa kar
Khowaa ik nazar bhe dekha Meethe Nabi ka Roza

Badal ghairay howe hwin Barish baras rhe hai
Lagta hai kaisa sohaana Meethe Nabi ka Roza

Hijer-o-Firaaq mein jo Ya Rab! yarap rahe hein
Un ko dikha day Moula! Meethe Nabi ka Roza

Haser da hazaar aalam ka husen is pe qurbaan
Dono jahan ka dolha Meethe Nabi ka Roza

Us aankh per na kyoun mein Attar jaoon qurbaan
Jis aankh ne hai daikha Meethe Nabi ka Roza

Jis waqt rooh tan say Attar ki juda hoo
Ho samne Khudaya Meethe Nabi ka Roza