Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai naat lyrics

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Jehan main hain ibrat k her so namoonay
Magar tujh ko andha kiya rang-o-boo nay

Kabhi ghor se bhee yeh dekha hai tu nay
Jo mamoor thay who mehal ab hain soonay

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Mile khak main ahl-e-shan kese kese
Makeen ho gaye la-makan kese kese

Huwe naamwar be nishan kese kese
Zamee kha gayee nojawan kese kese

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Zameen k huwe log paiwand kia kia
Malook-o-huzoor-o-khudawand kia kia

Dikhae ga tu chand roz kia kia
Ajal ne picharay tan-o-mand kia kia


Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Ajal ne na kisra hee chora na dara
Isi se sikandar sa fateh bhee hara

Her ek chor k kia kia hasrat se dhara
Para reh gaya sab yahein that sara

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Tujhe pehle bachpan ne barson khilaya
Jawani ne phir tujh ko majnu banaya

Burhape ne phir aa k kia kia sataya
Ajal tera ker de gi bilkul safaya

Yehi tujh ko dhun hai rahoon sab se bala
Ho zeenat nirali, ho fashion nirala

Jiya kerta hai kia yoon hi marne wala
Tujhe husn-e-zahir ne dhokay main dala

Who hai aish-o-ishrat ka koi mehal bhee
Jehan taak main khari ho ajal bhee

Bas ab is jahalat se tu nikal bhee
Yeh tarz-e-mayeeshat ab apna badal bhee

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Yeh duniya-e-fani hai mehboob tujh ko
Huwi wah kia cheze marghoob tujh ko

Nahi aqal itni bhee majzoob tujh ko
Samajh lena ab chahiye khoob tujh ko

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Burhape se pa ker payam-e-kaza bhee
Na chonka na cheetah na sambhla zara bhee

Koi teri ghaflat ki hai inteha bhee
Junoon chor ker ker apnay hosh main aa bhee

Jab is bazm se chal diye dost aksar
Aur uthte chale ja rahe hain barabar

Her waqt paish-e-nazar hai yeh manzar
Yehan per tera dil behelta hai q ker

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Jehan main kahein shor-e-matam bapa hai
Kahein fikr-o-faqa se aah-o-baqa hai

Kahein shikwa jor-o-makr-o-dagha hai
Garz her teraf se yehi bas sada hai

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai