Ilaahi Har Jaga-Owais Qadri

Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho
Jub Pare Mushkil Sha?e Mushkil Kusha Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Bhool Jaun Naza?Ki Takleef Ko
Shaadiye deedare Husne Mustafa Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Gor Teera Ki Jab Aaey Sakht Raat
Unke Pyaare Moonh Ki Subha Jaa Fiza Ka Saath Ho

Ya Ilaah Garmi-e-Mahshar Seh Jub Bharke Badan
Daaman-e-Mahboob Ki Thandi Hawaa Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Nama-e-A?maal Jub Khulne Lagay,
Aib-e-Pooshe Khalq Sat?taare Khata Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Rang Laayein Jab Meri Be Baaqiyaan,
Unki Neechi Nichi Nazroon Ki Hayaa Ka Saatho Ho

Ya Ilaahi Jub Zabaane Baahar Aayey Pyaas Say
Saahib-e-Kauthar Sha?e Jood-o-ataa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Chalo Tareekh Raahe Pul Siraate
Aftaab-e-Haashmi Noorul Huda Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Jub Sare Shamsheer Par Chalna Pare
?Rabbe Sallim? Kehne Waale Ghamzudah Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Jo Dua?e Nek Hum Tujhe Se Kare,
Qudsiyo Ke Lub Se Aameen Rab?bana Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-e-Giraa Se Sar Uthaa?e
Daulat-e-Bedaar Ishk-e-Mustafa Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Sard-e-Mehri Par Ho Jab Khurshid-e-Hashr
Sayyad-e-Besaaya Ke Zille-e-Liwaa Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Jub Pare Mahshar Mein Shore Daar-o-Geer
Aman Denay Waale Pyaare Peshwa Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Jub Bahe Aankhe Hisaab-e-Jurm Me
Un Tabassum rez-e-honto ki Dua ka Saath Ho

Ya Ilaahi Jub Hisaabe Khanda-e-Bejaa Rulaaye,
Chashme Giryaane Shafi-e-Murtaja Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Le Chale Jub Dafan Karne Qabar Me
Ghause-e-Azam Peshwa?e Awliya Ka Saath Ho