Ya Syedi Ya Mustafa Salle Ala Ya Mujtaba-Syed Furqan Qadri

Ya Syedi Ya Mustafa, Salle Ala Ya Mujtaba
Sidra qadam quran nava, rehmat badan khushboo kaba Salle ala Aa Mujtaba.

Paye mubarak kay nishan sangay binay e kurfiqan
Gaftar say lipty hoyi nafse zameen o asman
Har ahed hai masrad teri, jari rahe aamad teri
Aa meray hujray mein bhi aa salle ala ya Mujataba.

Kamli teri parcham bani, aadat teri mosaam bani
Under kay zakhmoon kay liye talwaar bhi merham bani
Murday masiha hogaye, pathar papiha hogaye
Tazeem nay barhkar kaha salle ala ya Mujataba.

Aie warifay hilmul ula, tu siray haq ban ker khula
Har eik bahar us ki hui, jo teray kantoon per tula
Iss par say uss per taq, firdoos kay bazar taq
Siqa chalay ga ab tera, salle ala ya Mujataba.

Jab mujh pay tu saya kare, har sans itraya karey
Mar jayoon to merqad mein bhi aie kaash tu aaya karey
Rakhta rahoon aamal mein, gin gin kay teri aahatein
Hontoon pay houn bas ik sada salle ala ya Mujataba.