Madine ka safar hai aur mein namdeedah namdeedah-Siddiq Ismail

Madine ka safar hai aur mein namdeedah namdeedah
jabeen afsurdah afsurdah qadam laghzeedah laghzeedah

Chala hoon aik mujrim ki tarah mein jaanib e Taiba
nazar sharmindah sharmindah badan larzeedah larzeedah

Kissi kay haath ne mujh ko sahaara day diya warna
kahaan mein aur kahaan yeh raastay pecheedah pecheedah

Kahaan main aur kahaan us rawza e aqdas ka nazaarah
nazar us simt uth-tee hai magar duzdeedah duzdeedah

Ghulaamaan e Muhammad door se paichaanay jaate hein
Dil e girzeedah girzeedah sar e shoreedah shoreedah

Madine jaa kar hum samajhe taqaddus kis ko kehte hein
Havaa paakeezah paakeezah fazaa sanjeedah sanjeedah

Basaarat kho gayee lekin baseerat tau salaamat hai
Madinah hum ne dekha hai magar nadeedah nadeedah

Vohi Iqbal jis ko naaz tha kal khush-mizaaji par
Firaaq e taiba mein rehtaa hai ab ranjeedah ranjeedah