Jab Masjid e Nabvi kay minar nazar aye-Aamir Liaquat Hussain

Jab masjid e nabvi kay miinaar nazar aa-ay
Allah ki rahmat kay aasaar nazar aa-ay

Manzar ho bayaan kesay alfaaz nahiin miltay
Jiss waqth muhammad ka darbaar nazar aa-ay

Bas yaad raha itna siinay say lagi jaali
Phir yaad nahiin kya kya anwaar nazar aa-ay

Dukh dard kay maaron ko gham yaad nahiin rehtay
Jab saamnay aankhon kay gham-khuar nazar aa-ay

Makkay ki fiza-on mayn teba ki hawa-on mayn
Ham nay to jidhar daykha sarkaar nazar aa-ay

Chhorr aaya zahoori meyn dil o jaan madinay mayn
Ab jiina yahaan mujh ko dushwaar nazar aa-ay