Rok Leti Hai Aap Ki Nisbat-Huriya Rafiq Qadri

Rok Leti Hai Aapki Nisbat,Teer Jitne Bhi Humpe Chalte hain
Yeh Karam Hai Huzoor Ka Humpar,Aane Waale Azab Tallte Hain

Woh Hi Bharte Hain Jholiyan SabkiWoh Samajhte Hain Boliyan Sabki
Aao Bazar-e-Mustafa Ko ChaleinGham Khushi Main Wahin Pe Dhalte Hain

Apni Auqat Sirf Itni Hai Kuch Nahi Baat Sirf Itni Hai
Kal Bhi Tukron Pe Unke Palte They, Ab Bhi Tukron pe Unke Palte Hain

Aur Ab Humain Kiya Koi Giray Ga, Har Sahara Gale Lagaye Ga
Humne Khuda Ko Gira Diya Hai Wahan, Girne Wale Jahan Sambhalte Hain

Ghar Wohi Mushkbaar Hote Hain, Khuld se Humkinaar Hote Hain
Zikr-e-Sarkar Ke Hawalon se Jin Gharon main Chirag Jalte Hain

Zikr-e-Sarkar ke Ujalon ki, Benihayat Hain Rifa'atain Khalid
YeH Ujale Kabhi na Simtain Gay,Yeh woh Suraj nahi Jo Dhalte Hain

Rok Leti Hai Aapki Nisbat,Teer Jitne Bhi Humpe Chalte hain
Yeh Karam Hai Huzoor Ka Humpar,Aane Waale Azab Tallte Hain