Rukh se parda Ab Apne Hata do Gous ul Azam-Owais Raza Qadri

Manqabaat- Rukh se parda

Rukh se parda Ab Apne utha Do
Rukh se parda Ab Apne Hata Do
Jaliyon par Nigahen Jamin Hain
Jamin Hain
Jaliyon par Nigahen Jamin Hain
Apna Jalwa Issi main Dikha Do
Jaliyon par Nigahen Jamin Hain

Gous ul Azam Ho Gaus ul Wara Ho
Gous ul Azam Ho Gaus ul Wara Hon
Noor Ho Noor-e-Salle Alaa Ho
Kya Bavan Apka Martaba Ho
Dastgeer aur Mushkil Kusha Ho
Aj Deedar Apna Kara Do
Jaliyon par Nigahen Jamin Hain

Aik Mujrim Siva Kaar Hoon Main
Aik Mujrim Siva Kaar Hoon Main
Har Khata Ka Sazawar Hoon Main
Mera Charoon Taraf Hai Andhera
Roshni Ka Talabgaar Hoon Main
Ek Diva Hi Samajh Kar Jala Do
Jaliyon par Nigahen Jamin Hain

Wajd Main Aaye Ga Saara Aalam
Wajd Main Aaye Ga Saara Aalam
Jab Pukaren Gay Ya Gous-e-Azam
Wajd Main Aaye Ga Saara Aalam
Jab Pukaren Gay Ya Gous-e-Azam
Woh Nikal Jaaven Gay Jalion Se
Gir Jaaven Gay Hum Unke Kadmon Par
Phir Kahen Gay Ke Bigri Bana Do
Jaliyon par Nigahen Jamin Hain

Fikr Dekho Khayalat Dekho
Fikr Dekho Khayalat Dekho
Yeh Aqeedat Ye Jazbaat Dekho
Main Hon Kiya Meri Aukat Dekho
Main Hon Kiya Meri Aukat Dekho
Saamne Kaise Hai Zaat Dekho
Ae Adeeb Apne Sir Ko Jhuka Do
Jaliyon par Nigahen Jamin Hain

Faslon Ko Khudara Mita Do
Jaliyon par Nigahen Jamin Hain