Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko Itni Meri Awqaat Nahi-Abdul Rauf Roofi

Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko, Itni Meri Awqaat Nahi(2)
Yeh To Karam Hai Un Ka Warna, Mujh Mein Aesi Baat Nahi
Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko, Itni Meri Awqaat Nahi

Ishqe Shahe Batoha Se Pehle, Mufliso Khasta Haal Tha May(2)
Naame Muhammad Ke Mein Qurbaan, Ab Woh Mere Halaat Nahi
Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko

Zikre Nabi Mein Din Jo Guzre, Woh Din Sab Se Behtar Hai
Zikre Nabi Mein Raat Jo Guzre, Us Se Behtar Raat Nahi
Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko

Jo Munkir Hai Unki Ata Ka, Woh Yeh Baat Bataaey To
Kaun Hai Woh Jis Ke Daaman Mein, Us Dar Ki Khairaat Nahi
Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko

Woh Hai Meri Jaan-o-imaan, Kya May(n) Unki Nazar Karu
Paas Mere Ashko Ke Ilaawa, Aur Koi Soghaat Nahi Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko

Ghaur To Kar Sarkaar Ki Tujh Par, Kaisi Khaas Inaayat Hai (2)
Kausar Tu Hai Un Ka Sanaa Khwaan, Yeh Maamooli Baat Nahi
Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko