Jaise meri Sarkaar he aisa nahein ko’ee-Qari Saeed Chishti


Ab meri Nigahon mein to jajta nahein ko’ee
Jaise meri Sarkaar he aisa nahein ko’ee

Tum sa to husin aankh ne dekha nahein ko’ee
Ye shaane latafat he ke sayaa nahein ko’ee

Ay zarfe nazar dekh maghar dekh adab se
Sarkaar ka jalwoh he tamashaa nahein ko’ee

Ye toor se kehtie he abhi tak shabbe Me’raj
Didaar ki taakat ho to parda nahein ko’ee

I’zaaz ye haasil he to haasil he zameen ko
Aflaak pe to Ghumbade Khazra nahein ko’ee

Hota he jahan Zikre Muhammad ke karam ka
Is Bazm me mehroome tamanna nahein ko’ee
Sarkaar ki rahmat ne maghar koob nawaaza
Ye sach he ke Khalid sa nikama nahein ko’ee