Hum faqiron ko madine ki gali achchi lagi-Arshad Raza Qadri

Khusravi Achchhi Lagi Na Sarwari Achchhi Lagi
Hum Faqiron Ko Madiney Ki Gali Achchhi Lagi
Dur The To Zindagi Bey Rang Thi Beqaif Thi
Unke Koochey Mein Gaye To Zindagi Achchhi Lagi
(Hum Faqiron)

Mayn Na Jaunga Kahin Bhi Dar Nabi Ka Chod Kar
Mujh Ko Kuw-E Mustafa Ki Chakri Achchhi Lagi
(Hum Faqiron)

Waleyhana Ho Gaye Jo Tere Qadmon Par Nisar
Haqq Ta'Ala Ko Ada Unki Bari Achchhi Lagi
(Hum Faqiron)

Teri Khatir Saanp Se Dasva Liya Siddique Ne
Ashiqon Ko Unki Tarze Ashiqi Achchhi Lagi
(Hum Faqiron)

Naaz Kar Tu Aey Halimah Sarware Konein Par
Gar Lagi Achchhi To Teri Jhonpri Achchhi Lagi
(Hum Faqiron)

Rakh Diye Sarkar Ke Qadmon Pe Sultanon Ne Sar
Sarware Kouno Makaa'N Ki Saadgi Achchhi Lagi
(Hum Faqiron)
Maher-O-Mah Ki Raushni Mana Ke Achchhi Hai Magar
Sabz Gumbad Ki Mujhe To Raushni Achchhi Lagi
(Hum Faqiron)

Aaj Mehfil Mein Niyazi Naat Jo Mayne Parhi
Ashiqane Mustafa Ko Woh Bari Achchhi Lagi
(Hum Faqiron)