Aaqa aaqa bool banday aaqa aaqa bool-Farhan Ali Qadri

Aaqa aaqa bool banday aaqa aaqa bool
Zikr-e-Nabi tu karta jay eh zikr baRa anmoul
Ayesaa din bhi aa jaaye Sarkar kay dar pay baithay hooN
Lab khamosh zabaN ban jaye ansu arzaaN kartay hooN
aankhoN say ansu behtay hooN
unn kay dar pay ronay walay dil say kuch tu bool
Aaqa aaqa bool banday aaqa aaqa bool
Zikr-e-Nabi tu karta jay eh zikr baRa anmoul
Sarwar-e-Alam piaray Aaqa jidher say guzra kartay thay
Shajar gawahi daita tha aour pathar kalma paRhatay thay
Noor-e-Khuda kay munkar abb to apni aankhaieN khool
Aaqa aaqa bool banday aaqa aaqa bool
Zikr-e-Nabi tu karta jay eh zikr baRa anmoul
Aawo chalo deewano saray sheher-e-Madina chaltay haiN
Mairi kia ooqat hay sab hee inn kay dar say paltay haiN
ghairoN ko bhi daitay haiN wooh bin mangay bin toul
Aaqa aaqa bool banday aaqa aaqa bool
Zikr-e-Nabi tu karta jay eh zikr baRa anmoul
Rashid naataiN likhna paRhna yeh hay baRa aizaz
Unn kay karam say hee oonchi hay parwaz
Naat-e-Nabi tu sunaye ja aour kanoN main rass ghool
Aaqa aaqa bool banday aaqa aaqa bool
Zikr-e-Nabi tu karta jay eh zikr baRa anmoul