Sirf aik baar sirf aik baar-Farhan Ali Qadri

Sirf aik baar sirf aik baar
Dil say Mustafa ko tu pukar ho ga baiRa paar
Hazar baar uthaiN gey qadam khuda ki taraf
Bus aik baar chalay aawo Mustafa ki taraf
Aisay haiN Sarkar meiray aisay haiN Sarkar meiray
Dil say Mustafa ko tu pukar ho ga baiRa paar
Gham sabhi rahat-o-taskeen meiN dhal jatay haiN
Jab karam hota hay halaat badal jaaty haiN
Koi daikhay to kaheeN unn ki dohaie dey kar
Ya Muhammad say to pathar bhi pighal jatay haiN
Aisay haiN Sarkar meiray aisay haiN Sarkar meiray
Dil say Mustafa ko tu pukar ho ga baiRa paar
Koi aa jaye talab say bhi siwa daitay haiN
Aaye bimar to har dukh ki dawa daity haiN
GaliaaN daita hay koi to dua daitay haiN
Dushman aa jaye to chadar bhi bicha daitay haiN
Aisay haiN Sarkar meiray aisay haiN Sarkar meiray
Dil say Mustafa ko tu pukar ho ga baiRa paar
Dua ko bab-e-asar say guzar kar daikho
Dar-e-Nabi pay khuda ko pukar kar daikho
Shumar ho naheen saktay shumar kar daikho
Tum unn say door hoo laikin woh tum say door naheeN
Yaqeen naaN aaye to unn ko pukar kar daikho
Aisay haiN Sarkar meiray aisay haiN Sarkar meiray
Dil say Mustafa ko tu pukar ho ga baiRa paar
Daikh lo dhoop madinay ka pata daiti hay
Ishq waloN ko to garmi bhi maza daiti hay
KiuN kay soraj ki agar aik kiran rozana
Khoob deewar-e-Madina ka maza laity hay
Aisay haiN Sarkar meiray aisay haiN Sarkar meiray
Dil say Mustafa ko tu pukar ho ga baiRa paar
Unn ki rehmat naiN to qatray ko daria kar dala
Khali daman jiss ka diakha uss ko bhi bhar dala
Manganay gaye bheek to hum ko ghani kar dala