Naheen hay koi dunia maiN hamara ya Rasool Allah-Farhan Ali Qadri

Naheen hay koi dunia maiN hamara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah
Sarapa maaseaat hooN baar hay bay had gunahoon ka
Bachana nar-e-dozakh say Khuda raa ra Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah
Talatum khaiz hay daria bhanwar maiN hay mairi kashti
Nazar aata naheen koi kinara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah
Faqat aamal kay badlay naaN paye ga koi Janat
naaN ho ga jab talak tiara ishara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah
Haqeeqat maiN bohat baRh kar keh hay Arsh-e-Mo’ala sey
ZameeN jiss par ho naqsh-e-paa tumhara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah
TaRapta hay maira dil aour tarasti haiN bohat aankhaieN
Bula loo phir Madinay maiN dobara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah
Gunahgarn-e-Ummat ka khajal hoona saza pana
Tairi rehmat ko kab ho ga gawara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah
Dam-e-aakhir zara Hassam par itna karam karna
Keh uss kay lab par hoo kalma tumhara ya Rasool Allah