Padho Durud Ke Maulud Ki Ghadi Hai-Owais Raza Qadri

Padho Durud Ke Maulud Ki Ghadi Hai
Ya Rasoolallah Salla Alay Ya Habiballah Sallam Alay
Aaye Sarkar Aaye Mere Dildar Aaye

Har Ek Sa-aato Lamha Hai Qimti Iska
Har Ek Raat Se Badhkar Mila Ise Rutba
Isi Liye To Ye Shab Behtarin Kehlayi
Padho Durud Ke Maulud Ki Ghadi Hai.

Khuda Ka Shukr Karo Aur Padho Un Par
Ke Aaj Laye Hai Tashrif Hadi-o-Rehbar
Zamane Bhar May Mashoor Jin Ki Yaktayee
Padho Durud Ke Maulud Ki Ghadi Hai

Chate Hai Badal-e-Gam Khusiya Sath Layi Hai
Har Ek Chehre Pe Abb Muskurahat Aayi Hai
Har Ek Dil May Khushi Ki Baji Hai Shehnayi
Padho Durud Ke Maulud Ki Ghadi Hai

Jahan May Sabz Parchamo Ki Bahar Aayi Hai
Aur Ashiqo Ne Makan Har Gali Sajayi Hai
Hai Shad Shad Nabi Ka Har Ek Tamannayi
Padho Durud Ke Maulud Ki Ghadi Hai

Jahan Gunj Hai Gunj Ootha Merhaba Ke Naaro Se
Khushi Hai Kaisi Na Poocho Ye Gam Ke Maaro Se
Yehi Woh Raat Hai Jo Kaif Ka Sama Layi
Padho Durud Ke Maulud Ki Ghadi Hai

Unhi Ke Dar Se Hi Dariya-e-Jood Behte Hai
Woh Aaye Jo Nahi Sahil Ko Kehte Hai
Saqawat Aisi Ataa Rab Ne Unko Farmayi
Padho Durud Ke Maulud Ki Ghadi Hai
Shab-e-Viladat-e-Sarkar Ka Hai ye Sadqa
Ke Mil Gaya Hai Sana Ka UBED Ko Jazba
Musafir Iski Ye Mehnat Jabhi To Rang Layi
Padho Durud Ke Maulud Ki Ghadi Hai