Meri kashti paar laga daina-Farhan Ali Qadri

Meri kashti paar laga daina aye Mola Ali aye Shair-e-Khuda
Paida howay Allah kay ghar maiN paie shahadat masjid meiN
Kia shan tumhari Salay ala meri kashti paar laga daina
WalioN kay sartaj tumhi ho deen-e-Nabi kay hami ho
Allah kay piaray shair-e-khuda meri kashti paar laga daina
Meri kashti paar laga daina aye Mola Ali aye Shair-e-Khuda
Tum naiN suni faryad sabhi kit um naiN madad ki bandoN ki
Abb meri bhi sunn lou behr-e-Khuda meri kashti paar laga daina
Meri kashti paar laga daina aye Mola Ali aye Shair-e-Khuda
Tum naiN dar-e-Khaibar ko ukhaRa deen ka jhanda gaaR dia
Islam ko roshan tum naiN kia meri kashti paar laga daina
Meri kashti paar laga daina aye Mola Ali aye Shair-e-Khuda
Jaan baRi mushkil meiN paRi hay awo madad ko shair-e-Khuda
Kehtay heiN tumhaiN sab mushkil kusha meri kashti paar laga Diana
Meri kashti paar laga daina aye Mola Ali aye Shair-e-Khuda
Meri kashti paar laga daina aye Mola Ali aye Shair-e-Khuda