Ab tangii-ay daamaan pay na ja oar bhi kuchh maang-Yousuf Memon

Ab tangii-ay daamaan pay na ja oar bhi kuchh maang
Heyn aaj wo maa-il e ba’ata oar bhi kuchh maang
Har chand kay mola nay bhara he tayra kashkol
Kam zarf na ban haathh barrha oar bhi kuchh maang
Sarkar ka dar he dar e shahaan to nahiin he
Jo maang liya maang liya oar bhi kuchh maang
Jin logon ko yay shak he karam unka he mahdud
Un logon ki baaton pay na ja oar bhi kuchh maang
Uss dar pay yay anjaam hua husn e talab ka
Jholi mayri bhar bhar kay kaha oar bhi kuchh maang
Sultaan e madina ki ziyaarat ki dua kar
Jannat ki talab cheez he kya oar bhi kuchh maang
Day saktay heyn kya kuchh kay wo kuchh day nahiin saktay
Yay behs na kar hoash mayn aa oar bhi kuchh maang
Pohancha he jo uss dar pay tu reh reh kay nasiir aaj
Aawaaz pay aawaaz laga oar bhi kuchh maang