Shukar Khuda ke aaj ghari iss safar ki hai-Arif Attari

Shukar Khuda ke aaj ghari iss safar ki hai
Jis par nisaar jaan o falah zafar ki hai

Garmi hai tap hai dard hai kulfat safar ki hai
Na shukr yeh to dekh Azeemat kidhar ki hai

Man Zara Tubati Wajabat Lahu Shaf’atee (Hadith)
Un par Durood jin se naveedan bashar ki hai

Iss ke tufail Haj bhi Khuda ne karadiye
Asl muraad Haazri Iss Pak Dar ki hai

Zikr-e-KHUDA INSE juda chaho najdiyo
WALLAH Zikr e HAQ nahi kunji saqar ki hai

Bey Inke waaste KHUDA kuch Ata karay
Hasha ghalat yeh hoos bay-saqar ki hai

Jannat me akay naar me jata nahi koee
Shukar Khuda naveed najaat wa zafar ki hai

Agay rahi ataa woh bay qadar talab to kya
Adat yahaan ummeed se bhi peshtar ki hai

Bay maange dene wale ki ne’mat me gharq hai
Maange se jo mile fahem is qadar ki hai

Aa kuch suna day Ishq ke bolaun me Ai Raza
Mushtaq tab’ay lazzat soz-e-jigar ki hai