Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha-Farhan Ali Qadri

Apni janat ko Khuda kay liay dozakh naaN bana
Mairay malik mairay Aaqa mairay Mola naiN kaha
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha
Baap kay piar say achi koi dolat kia hay
maaN ka anchal jo salamt hay to janat kia hay
yeh haiN razi to Nabi razi hay razi hay Khuda
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha
Jab bhi daikha to tujhay piar say daikha maaN naiN
Khoon-e-dil doodh ki sorat maiN pilaia maaN naiN
Tu naiN iss piar kay badlay maiN usay kuch naaN dia
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha
Unn ki mamta naiN baharhal sanbhala tujh ko
Kis qadar piar say maaN baap naiN pala tujh ko
Rehmat-e-bala say kuch kam naheeN saya unn ka
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha
Tairay maaN baap naiN kis piar say pala tujh ko
Khud rahay bhukay dia moonh ka niwala tujh ko
Inn ki muthi maiN hay nadan muqadar taira
Tairay baiTay bhi kahaN roTiaaN daiN gey tujh ko
Yeh bhi tairi hee tarha galiaN daiN gey tujh ko
Tu bhi aye sahib-e-olad yeh kiuN bhool gia
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha
Unn say achi naheen daikhi koi soorat Qaisar
Hay sarapa yeh mohabat hee mohabat Qaisar
Apni jannat ko Khuda kay liay dozakh naaN bana
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha
Maira malik mairay Aaqa mairay Mola naiN kaha
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha
Apnay maaN baap ka tu dil naaN dukha