Amal kaam aya mehshar me na taqwa kaam aya-Muzaffar Warsi

Amal kaam aya mehshar me, na taqwa kaam aya
Agar kuch kaam aya, to Durood aya Salaam aya

Mili aankhaun ko thandak, aur sukoon e dil tamaam aya
Muhammad Mustafa ka jab kabhi hontaun pe naam aya

Shabe Milaad Anwaar e Mustafa ke khair maqdam ko
Idhar Ghare Heera aya, udhar Bait e Haram aya

Durood aisa waseelah hai, ke har maqsad bar ajae
Yeh sauda naqd ghar baithe, hamay kya sasta daam aya

Huwa hargiz na dil mael, kisi mina wa saghar par
Magar dil agaya jab, saamne kausar ka jaam aya

Tasha’hud me hi kyun tujh ko, namazi kaif hai itna
Agar chay Sajdah bhi aya, Ruku aya Qayaam aya

Hai kehne me bhi yeh Naam e Muhammad, kis qadar shireen
Chimat jatay hai dono lab, Muhammad ka jo Naam aya

“Ana Basharum” Shariat hai, Tariqat “Aiyukum Misli”
Samajh me kuch na, Raaz e Azmate Khairul Anaam aya

Salaam AQA pay padhne se, gurezaan kyun hai kuch ahbaab
Qur’an me jab ke Hukum e “Sallimu” bil iltizaam aya

Buland awaaz “Labbaik” Rawa Kabah hai lekin
Yahaan “La Tarfaoo Aswatakum” ka ab maqaam aya

Madina jane walaon ki suna hai fehrist banti hai
Zara lena khabar iss me kaheen apna bhi naam aya

Pukare Ahle Mehshar dekhte hi Sufi Azam ko
Shafi’il Muznibeen ka ghaliban koee ghulaam aya