Tum per mein laakh jaan se qurbaan Ya Rasool-Umm-i-Habiba

Tum per mein laakh jaan se qurbaan Ya Rasool
Barr aaein mairay dil kay bhee armaan Ya Rasool

Kiyoon dil peh mein fidaa na karoon jaan Ya Rasool
Rehtay hein iss mein aap kay armaan Ya Rasool

Jiss dum keh dum badan say nikalnay lagay mera
Uss dam nah hon hawaas pareshaan Ya Rasool

Main ghir gaya hoon fauj-e-ma'asee mein al-madad
koi naheen nijaat ka samaan Ya Rasool

Duniya say aur kuch naheen matloob hay mujhay
lay jaaoon apnay saath mein Imaan Ya Rasool

Kafi hay yeh waseela shafaat kay wastay
Aasee to hoon magar hoon pashemaan Ya Rasool