Main to khud Unke dar ka gada hoon-Owais Raza Qadri

Main to khud Unke dar ka gada hoon,
Apne AQA ko main nazr kya doon
Ab to aankhon mein bhi kuchh nahin hai,
Varna qadmon mein aankhein bichha dooon

Aane waali hai unki tareeq,
Phool naaton ke ghar ghar saja doon,
Mere ghar mein andhera bohot hai,
Apni palkon pe shamme jala doon

Rauza-e-pak peshe nazar hai,
Saamne mere AQA ka dar hai,
Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai,
Tumko lafzon mein kaise bata doon

Mere aansu bahut kheemti hain,
Inse waabasta hai unki yaadein,
Inki manzil hai khak-e-madeena,
Ye gauhar yun hi kaise luta doon

Main faqat Aap ko jaanta hoon,
Aur usi dar ko pehchanta hoon,
Is andhere mein kisko pukaroon,
Aap farma'aein kisko sada doon

Qaafilay jaa rahe hain Madeene,
Aur hasrat se main tak raha hoon,
Ya lipat jaoon qadmon se unke,
Ya qaza ko main apni sada doon

Meri bakhshish ka saamaan yahi hai,
Aur dil ka bhi armaan yahi hai,
Ek din Unki khidmat mein jaakar,
Unki naatein unhi ko suna doon

Mujhko iss baar nisbat hai unse,
Jinka har lafz jaan-e-sukoon hai,
Main jahaan naat apni suna doon,
Saari mehfil ki mehfil jaga doon