Ilahi teri chaukhat par bhikari ban kar aaya hoon-Junaid Jamshed

Hamd
Ilahi teri chaukhat par bhikari ban kar aaya hoon
saraapa faqr hoon , ijz o nadamat saath laaya hoon

Bhikari woh ke jis key paas jholi hai na payala hai
Bhikari woh ke jisey hirs o hawas ne maar dala hay

batay deen o danish nafs ke hatoon se lutwa kar
sukoon e dil ki dolat hawas ki bheet charwa kar

luta kar saari poonji ghaflatoon hisiyan ki daldal main
sahara lenay aaya hoon tere kaabay ke anchal mein

gunahon ke lipat se kaynaat e qalb afsurda
iraday muzmahal himat shikasta hoslay murda

kahan se laoon taqat dil ki sachi tarjumani ki
ki kis jhanjal main guzree hain ghariyan zindagani ki

khulasa ye ke bus jal bhun ke apni rooh siyahi se
saraapa faqr ban kar apni halat ki tabahi se

tere darbar main laya hoon apni ab zaboon hali
teri chonkhat ke layq har amal se haat hain khali

yeh tera ghar he tere mehel ka darbar hai maula
sarapa noor hai aik muhabbat e anwaar hai maula

teri chaukhat ke jo adaab hein main un se khaali hoon
naheen jis ko saleeka manganay ka woh sawali hoon

zubaan gharqe nadamat dil ki naqas tarjumani per
khudaya rehm meri is zaban e be zabani par

yeh aankhein khushq hain ya rab inhein rona naheen aata
sulagtay daagh hain, dil mein jinhain dhona naheen aata

Ilahi teri chaukhat par bhikari ban kar aaya hoon
saraapa faqr hoon , ijz o nadamat saath laaya hoon
saraapa faqr hoon , ijz o nadamat saath laaya hoon