Iss karam ka karoon shukr e kaysay adaa-Huriya Rafiq Qadri

Iss karam ka karoon shukr-e-kaysay adaa
Jo karam mujh pay mayray nabi nay kiyaa
May sajaata tha sarkaar-e-ki mehfilain
Mujhko har gham say rab nay baree kar diyaa

Lamha lamha hay mujh par nabi ki ataa
Dosto aur maangoo may maula say kya
Kya yay kam hay kay mayray khuda nay mujhay
Apnay mehboob-e-ka ummati kar diyaa

Jo bhi aaya hay mehfil main sarkaar ki
Haazari mil gaee jiss ko darbaar-e-ki
Koee Siddeeq-e-farooq, usmaan huway
Aur kissee ko nabi nay ali kar diya

Zikr-e-sarkaar ki hay bhari barkatain
Mil gaee raahatain, azmatain rif’atain
May gunahgaar tha, bay amal tha magar
Mustafa nay mujhay jannati kar diyaa

Mayray shaahay madina ki kya baat hay
Un ki dar say millee sab ko khairaat hay
Sadqay jaaon nay-yaazi main lajpaal kay
Har gadaa ko sakheenay sakhee kar diya