Thandi thandi hawa rehmatoon ki chali-Huriya Rafiq Qadri

Thandi thandi hawa rehmatoon ki chali
Ban ke mouj e karam, Mustafa aa gaye

Hal meri ho gayein khud ba khud mushkalein
Saray aalam kay mushkil kusha aa gaye

Aagaye aagaye Mustafa aagaye

Amina ka muqadar sanwara gaya
Goud main chand jiski utara gaya
Hoor o ghulman salami ko jhuknay lage
Partay rizwan salle ala aagaye.

Aagaye aagaye mustafa aagaye

Dono aalam ki kismat badalne lagi
Noor main sari konain dhalne lagi
Khush muqadar Halima mubarak tujhe
Goud mein teri Khirul Wara aagaye

Aagaye aagaye mustafa aagaye

Ban gayi hai zameen rashk e bagh e jinnah
Sajh gaye asman khil utha gul sitan
Mang lo rehmatein khol lo jholiyan
Denay khairat hajat rawan aagaye

Aagaye aagaye mustafa aagaye

Aaj koi bhi sa’im na khali rahe
Sab muradein milein har musibat talay
Madni aaqa ki aamad ka sadqa mile
Bheek leney ko hum Ya Khuda aagaye

Aagaye aagaye mustafa aagaye