Sooey taiba jane walo mujhe chorr kar na jana-Owais Raza Qadri

Sooey taiba jane walo, mujhe chorr kar na jana
Meri ankhon ko dikha do shah-e-deen ka aastaana

Hain wo jaaliyan sunehri meri hasraton ka mehwar
Wo sahara mujh ko dein ge jo hain khaas rab ke dilbaar

Mujhe pohnch kar madine nahin laut kar hai aana
Sooey taiba jane walo, mujhe chorr kar na jana

Main tharrap raha hoon, meri be bassi to dekho
Main asseer-e ranj-o-gham hoon, meri be kali to dekho

Zara roza-e Nabi ka mujhe raasta dikhaana
Sooey taiba jane walo, mujhe chorr kar na jana

Darr-e-mustafa pe meri jab haazari lage gee
Mujhe phir karam se un ke naey zindagi mille gee

Mere laab pe raat din ho shahe batuha ka taraana
Sooey taiba jane walo, mujhe chorr kar na jana

Koi kal ke aik pal ka nahin kuch bhi hai barhossa
Mujhe humsafar bana lo kahin reh na jaoon tanha

Dar-e-mustafa hai Ishrat mera akhri tikhaana
Sooey taiba jane walo, mujhe chorr kar na jana