Raate bhi Madine ki baate bhi Madine ki-Qari Rizwan

Raate bhi Madine ki baate bhi Madine ki
Jeena mein ye jeena hai kya baat hai jeene ki

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Mein Madine ki galiyon pe qurban
Jinse guzra he Shah-e-Madinah

Is tarha se mehekta hai raasta
Itr jaisa lage huwa hai

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Kya mehekta ta hai mehekne wala
Ke buu pe chalta hai bhatakne wala

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Wallah jo miljaaye tera gul ka paseena
Maanga na kabhi itr na phir chaaya dulan phool

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Ye zakham hai Taiba ka ye sabko nahi milta
Koshish na kare koi is zakham ko seena ki

Ye apni nigaaho se mastaana banata hai
Mastaana banata hai deewana banata hai

Har saal Madine me Mirza ko bulaata hai
Sarkar jagaata hai taqdeer kameene ki

Raate bhi Madine ki baate bhi Madine ki
Jeena mein ye jeena hai kya baat hai jeene ki.