Agia wo noore waala jiska saara Noor he-Atif Attari

Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he
Agia wo noore waala jiska saara Noor he

Aankh waalo aao dekho maahe Taiba ki ziyaa
Aasmaan ke chand me to peeka peeka Noor he

Tu na hota, to na hota do jahaan ka intizaam
Tu zameen ka noor he, tu asmaan ka Noor he

Jisne jo kuch Noor payaa sub Teri Sarkaar se
Noor ki Sarkaar ka to subse pehla Noor he

Jis taraf ko oth gayee aalam munawar hogaye
Me Teri Aankho ke Sadqe in me kitna Noor he

Mustafa ke noor me he Zaate Baari Jalwa ghar
Mustafa ka Noor yoon kehte! Khuda ka Noor he

Istaraf bi ek nighahe Noorale Noorala
Me sarapaa ma’siyat hoon Tu sarapaa Noor he

Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he
Agia wo noor waala jiska sara Noor he