Bulalo phir mujhe Ay Shahe Bahro Bar Madine mein-sufi shafiq ul islam

Bulalo phir mujhe Ay Shahe Bahro Bar Madine mein
Mein phir rota howa aaon Teray Dar per Madine mein

Mein pohonchon kowe jana mein garebaa chaak seena chaak
Gira day kaash mujh ko shook tarpa kar Madine mein

Madine jaane walo jao,jao FiAamanillah
Kabhi to apna bhe lag jae ga bister Madine mein

Salaame shook kahna Hajeo! mera bhe roo roo kar
Tumhein aae nazar jab Roza-e-Anwar Madine mein

Piyaame shook laite jao mera qafilay walo
Sunana daastane gham meri roo kar Madine mein

Mera gham bhe to dekho mein para hoon dour Taiba se
Sakoon pae ga bas mera dile muzter Madine mein
Na ho mayoos deewano Pukare jao tum Un ko
Bulaein gay tumhein bhe aik din Sarwar Madine mein

Bulalo ham ghareeboon ko Bulalo Ya Rasool Allah
Pae Shabeero Shaber Fatima HAider Madine mein

Khudaya wasita daita hoon Tujh ko Ghouse Aazam ka
Dikha de Sabz Gumbad ka haseen manzer Madine mein
Wasila Tujh ko Abu Bakro Umer,Usmano Haider ka
Ilahi! Tu Aata kar day hamein bhe ghar Madine mein

Madine Jab mein pohonchon kaash!Aaisa kaif taari hoo
K rote rote ghir jaon mein ghas kha kar Madine mein

Niqabe Rokh olat jae Tera Jalwa Nazer aae
Jab Aae kaash Tera saail-e-bay per Madine mein

Jo Taire deed ho jae to meri Eid ho jae
Gham Apna day "Eidy" mein bolwa kar Madine mein

Madine jonh hi pohoncha ashk jaari ho gae maire
Dame rohsaat bhe tarap kar hichkiyaan bhar Madine mein

Jodai ki ghari Aasik pe baihad Shaak hoti hai
Wo rota hai tarap kar hichkiyaan bhar kar Madine mein

Kahi bhe sooz hai duniya kay gulzaaroon mein baghoon mein
Faza puraif hai loo daikh lo aa kar Madine mein

Wahan ik saans mil jae yahi hai zeestka haasil
Wo qismat ka dahne hai jo gia dam bhar Madine mein

Madina Jannatul Firdoos se bhe hai fazoon tar keh
Rasool-e-Pak ka hai Rozae Anwar Madine mein

Chalo chokhat pe Un ki rakh kay sar qurban ho jaen
Hiyaate jawidaani paen ge mar kar Madine mein

Madina mera seena hoo Mera seena Madina hoo
Madina dil k ander ho dile muzder Madine mein

Pae Tableeg-e-Sunnat tu jahan rakhe magar Ay kaash
Mein khaaboon mein pohonchta hi raho aksar Madine mein

Na dolat day na sarwat day mujhe bas ye sa'adat day
Teray Qadmoon mein mar jaon mein roo roo kar Madine mein

Aata kar do Aata kar do Baqeye Pak mein madfan
Lahad ban jae maire Ya Shahe Koser Madine mein

Madina is leye ATTAR jano dil se hai piyaara
Keh rahte hein maire Aaqa maire dil per Madine mein