Mudat se maire dil mein hai Armaane Madina-Asif Attari

Mudat se maire dil mein hai Armaane Madina
Roze pe Bula lejeye Sultaane Madina

Ay kaash pohonch kay Dar-e- Janane Madina
Ho jaon mein soo jaan se qurbaan-e-Madina

Aate hein muqadar kay sikander Tere Dar per
Bay izn ho kaise koi mehmaan-e-Madina

Aag aise laga dejeye qalb aur jhigar mein
Rota rahoon tarpa karoon Ay Jaan-e-Madina

Gulzaar yahan kay ise ache nahi lagte
Aankhoo mein samae hein Biyabaan-e-Madina

Ab sindh kay jungle mein mira jee hi nahi lagta
Bus mujh ko bulalejeye Gulistaan-e-Madina

Duniyaa kay nazaare hamein ik ankh na bhaein
Nazroo mein basein kash! Biyaaban-e-Madina

London koi japan chala maal kamane
Diwaana chala sowe Biyabaan-e-Madina

Jab khod hi qasam khai hai Quraan-e-Mubeen ne
Kis tarah biyaan koi kare Shaan-e-Madina

Duniyaa ka koi shaher ho kis tarah mumasil?
Jab Khlode bareen bhe nahi ham Shaan-e-Madina

kar dejeye Deedar say ankhein meri thandi
Ay Jaan-e-Jahan Sayede Sultaan-e-Madina

Ay kaash! mubaligh mein banoo Deen-e-Mubeen ka
Sarkaar! Karam Azpae Hassan-e-Madina(Radi Allah Anho)

Qadmoon mein bulalejeye ATTAR ko Aaqa
Aur is ko banalejeye mehmaan-e-Madina

ATTAR ko dolat na haqoomat ki talab hai
Daydejeye Baq'qe is ko to Sultaan-e-Madina