Khuda ki azmateein kya hai Mohammd Mustafa jane-Abdul Raouf Roufi

Khuda ki azmateein kya hai Mohammd Mustafa jane
Maqame Mustafa kya hai Mohammad ka Khuda jane

Sada karna mere bas mei tha main ne to sada kar di
Wo kya dei gei main kya loun ga sakhi jane gadha jane

Darana mujh ko to kyoun hai azaab-e-Kabbar se wahid
Wahan Sarkaar aye gei khata jane atta jane

Meri mathi Madine Paak ki Ra'ah mein poncha dena
Kahan le jaye ghi is ko Madine ki hawa jane

Kaha Jibreal ne Sidra talak meri risaaiy hai
Hai kitni manzilein aage Nabi jane Khuda jane

Hamme to shurkhru hona hai Aqa ki nigahoun mein
Zamane ka hai kya Nasir bura jane bala jane