Mujhe bolalo Shahe Madina-Adil Attari

Mujhe bolalo Shahe Madina ye Hijr ka gham sata raha hai
Mein Dar pe aaon yahi to armaan dil mein tofaan macha raha hai

Hai sahna doshwaar ye jodai meri ho Dar tak Shaha Rasai
Nahi bharosa hai zindagi ka ye dil mera dooba jaa raha hai Nahi

tamana-e- maalo dolat nahi mujhe khuwaish haqoomat
Meri nazar meinhaseeno dil qash wo Sabz Gumbad sama raha hai

Yahi to hasrat rahi hai dil mein mujhe ajal bhe wohi per aae
Jahan pe Aaqa hai piyaara Roza yahi to Aarman sada raha hai

Hai jholi khali Aay Shahe Aaali hai arz karta Tera sawali
Zalil mangta muradein lainay ko haath ghande barha raha hai

Ay benawao gadaoo pasare damen safeen banao
Khazana Rehmat ka banta wo Mehboob Aaa raha hai

Gadae darjaa balab hai Aaqa Niqaab Othao dikha do jalwa
Hoon tishnae Deed per Aanayat jahan se piyaasa hi jaa raha hai

Mein goore teeraa mein aa para hoon, firishte bhe aa choke hein sar per
Chale gae naaz othane wale Tera hi ab asara hai

Hai nafse nafse Chahar janib Nisaar jaon kaha ho Moula
Chopa lo Damen mein piyaare aa kar ye shoore mehshar dara raha hai

Khuda-e-Ghafaar bakhs de ab To laaj Mehboob rakh hi lay ab
Hamar GhamKhuwaar Fikre omat mein Aansoon baha raha hai

Saba jo paira ho Kowe Jaana to ghamzaada ka Salaam kahna
Ye Aarz karna Ghareeb ATTAR kab Madine ko aa Rraha hai