Ya Nabi Salam alaika Salawa tullah alaika naat lyrics

Ya Nabi salam alaika, ya Rasool salam alaika
Salawa tullah alaika, ya Habeeb salam alaika

Hashr mein sab eik kinare ummati ké dam ko maare
Aagaé jab wo to saare, dekh kar ounko poukare

Eik jhalak jo dekh paaoun, jaan mein tum par lootaoun
Raah mein ankhein bichaaoun, dasta basta phir sounaoun

Naayibe ashaab-o-sawar pehle hein Siddique Akbar
Phir Umar Uthman-o-Haidar, bheijie salam oun par

Deene haq ki dhaal donon, hein ye bemisaal donon
Fatima ke laal donon, Mustafa ki aal donon

Iss jahan se jab safar ho, roou-e-paak par nazar ho
Yeh karam Naseer par ho, ouska sar ho tera dar ho