Naat Sunta Rahoon Naat Parhta Rahoon naat lyrics

Naat Sunta Rahoon Naat Parhta Rahoon
Aankh Purnam Rahay Dil Machalta Rahay
Najm-E-Naam-E-Muhammad Zuban Par Rahay
Zikr Hota Rahay Saans Chalta Rahay

Baisaharoon Ka Koi Sahara Nahin
Mustafa Kay Siwa To Guzara Nahin
Unki Chasm-E-Karam Ho To Kuch Ghum Nahin
Chahay Sara Zamana Badalta Rahay

Ishq Ahmad Si Duniya Main Naimat Nahin
Mal O Zar Ki Bhi Koi Haqiqat Nahin
Badshaoon Say Behtar Bhikari Hai Woh
Unkay Dar Pay Tukrhoon Pay Jo Palta Rahay

Kiya Bhala Asakay Zindagi Kay Mazay
Door Reh Kar Habib-E-Khuda Say Mujhay
Uski Halat Karoon To Karoon Kia Biyan
Har Ghari Jo Furkat Main Jalta Rahay

Yeh Dua Hai Salamat Sada Ghum Rahay
Ta Abad Rab Tais-E-Qayam Rahay
Aatishay Ishq Har Dum Bharhakti Rahay
Khoon Roota Rahoon Dil Pighalta Rahay

Mustafa Ki Nazar Jis gharhi Ho Gaee
Uski Takdeer Khoti Khari Hogaee
Usko Thukrae Sara Jahan Bhi Agar
Girne Wala Magar Phir Sanbhalta Rahay

Najm Ki Ae Khuda Aarzoo Hai Yehi
Aashiq-E-Zaar Ki Aabroo Hai Yehi
Aakhri Waqt Sar Unkay Kadmoon Pay Ho
Deed Hoote Rahay Dum Nikalta Rahay