Mangton ko sultan banaya mere kamli walay ne naat lyrics

Mangton ko sultan banaya mere kamli walay ne
Jab apna darbar lagaya mere kamli walay ne

Mal-o-zar ki bat nahin he sab ye karam ki batain hain
Jis ko chaha dar pe bulaya mere kamli walay ne

Jis per apna rang charhaya mere kamli walay ne
Data farid or khuaja banaya mere kamli walay ne

Baara rabi ul awal ke din noor-e-khuda ki kirno se
amna tera gher chamkaya mere kamli walay ne

Jitna kharch mai karti jao utna barhta jaye hai
Baksh dia aisa sarmaya mere kamli walay ne

Unka ziker kertay kertay neend ali jab ai mujhay
Mujh ko apna jalwa dikhaya mere kamli walay ne