Hum khaak hain aur khaak hi maawa hai hamaara naat lyrics

Hum khaak hain aur khaak hi maawa hai hamaara
Khaki to wo aadam jade aala hai hamara

Allah hamein khaak kare apni talab mein
Ye khaak to sarkaar se tamgha hai hamara

Jis khaak pe rakhte the qadam sayyide aalam
Us khaak pe qurbaan dil-e-shaida hain hamara

Usne laqabe khaak shahenshaah se paaya
Jo haidare karraar ke maula hai hamara

Aye muddaiyo khaak ko tum khaak na samjhe
Iss khaak mein madfoon shahe bat-ha hai hamaara

Hai khaak se taameer mazaa-e-shahe kawnain
Ma’moor isi khaak se qibla hai hamara

Ham khaak uraeinge jo wo khaak na paayi
Aabaad RAZA jiss pe madina hai hamara