Rahmat ul Lil Alameen naat lyrics

Balagal Ula Be Kamal-e-Hi
Kashafad Du Ja Be Jamal-e-Hi

Hasunat Jami U Khisaal-e-Hi
Sallo Alaihi Wa Aa’lehi

Pasti Ka Koi Had Se Guzarna Dekhe
Islam Ka Gir Kar Na Ubherna Dekh

Mane Na Kabhi Ke Mad Hai Har Jazar Ke Baad
Darya Ka Hamare Jo Uterna Dekhe

Kissi ne Yeh Wuqrat Se Jaa Ke Pooche
Maraz Tere Nazdeek Muhlik Hain Kia Kia

Kaha Dukh Jahan Main Nahi Koi Aisa
Ke Jis ki Dawa Haq ne Ki Ho Na Paida

Magar Who Maraz Jis Ko Aasan Samjhe
Kahe Jo Tabeeb Usko Hizyaan Na Samjhe

Sabab Ya Alamat Gar Inko Bhujayen
To Tashkhees Main So Nikalen Khatayen
Dawa Aur Perhez se Ji Churayen
Yunhi Rafta Rafta Maraz ko Barhayen


Tabeebon Se Hargiz na Manoos Hon Wo
Yahan Tak ke Jeene Se Mayoos Hon Wo

Yahi Haal Dunya main Iss Qoam Ka Hai
Bhawar Main Jahazan Ke Jiska Ghira Hai

Kinara Hai Door aur Toofan Bapa Hai
Guma Hai Yeh har Dum Ke Ab Doobta hai

Guma Hai Yeh har Dum Ke Ab Doobta hai
Nahi Lete Karwat Magar Ahle Kashtii

Pare Sotay Hain Be Khabar Ahle Kashtii
Pare Sotay Hain Be Khabar Ahle Kashtii

Ghata Sir pe Adbaar Ki Chaa Rahi Hai
Falakat Sama Ab Na Dikhla Rahi Hai

Nahoosat Pasoo Paish Mandla Rahi Hai
Jaborast se Yeh Sada Aa Rahi Hai

Ke Kal Kon They Aj Kia Ho gaye Tum
Abhi Jagte They Abhi So Gaye Tum

Par Iss Qoam-E-Gafil Ki Ghaflat Wohi hai
Tanazzul Pe Apne Qana’at Wohi Hai

Mille Khak Main Par Raoonat Wohi Hai
Huwi Subho Aur Khab-e-Rahat Wohi Hai

Na Afsoo Inhen Apni Zillat Pe Hai Kuch
Na Rashk Aur Komo ki Izzat Pe Hai Kuch

Baha Inki Aur Inki Halat Hai Yaksan
Ke Jis Haal Main Hai ussi Main Hain Shaadan

Na Zillat Se Nafrat Na Izzat Ka Armaan
Na Dozak Se Tarsaan Na Jannat Ke Khawa Han

Na Dozak Se Tarsaan Na Jannat Ke Khawa Han
Lia Aqlo Deen Se Na Kuch Kaam Inhon Ne

Kia Deen-e-Barhaq ko Badnaam Inhon Ne

Balagal Ula Be Kamal-e-Hi
Kashafad Du Ja Be Jamal-e-Hi

Hasunat Jami U Khisaal-e-Hi
Sallo Alaihi Wa Aa’lehi