Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kaisa hai naat lyrics

Aanay walo ye to bataao shehr madina kaisa hai
Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kaisa hai

Gunbaday khazra kay sa-ay mayn beytth kay tum to aa-ay ho
Uss sa-ay mayn rab kay aagay sajda karna kaisa hai

Dil aankhayn or ruuh tumhari lagti heyn sehraab mujhay
Dar pay un kay beytth kay zamzam piina kaisa hai

Diiwano aankhon say tumharitna puuch to laynay do
Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kaisa hai

Waqt e rukhsat dil ko apnay chhoarr wahaan tum aa-ay ho
Yay batlaa-o ishrat un kay dar say bichharrna kaisa hai