Tajdar-e-haram ho nigaah-e-karam-Owais Raza Qadri

Kismat mein meri chein se jeena likhde
Duube na kabhi mera safeena likhde
Jannat bhi gawara hai, magar mere liye
Eh kaatib-e-taqdeer, bas Madinah likhde

Mai saahil huun meri auqaat kya hai
Tum Aaqa ho, tumhari baath kya hai

Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sawarjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Chashm-e-rahmat-ba-khusha soohe-malandaz nazar
Eh Quraishi-la-kabi Hashmi-o-Muttalabi
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Kya tumse kahuun aye Rabb ke kuwar
Tum jaanat ho mann ki battiyaan
Darr furqat toh aye ummi-laqab
Kaate na katath hai ab rattiyaan
Turi preet mein sudbud sab bisri
Kab tak ye rahegi beqabri
Daah-e-ka pigan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi toh lo humri battiyaan
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Kehna saba Huzur se, kehta hai ek ghulam
Bass ek nazar ho, ek nazar ka sawaal hai
Ya Mustafa salle Ala, Ya Mustafa salle Ala
Ya Mustafa salle Ala, Ya Mustafa salle Ala

Dast-e-hama, bechara ra
Daama tuhi, pursa tuhi
Mann aasiyam, mann ajizam
Mann bekasam, Haal-e-mara
Ya shafaye, rawz-e-jazaa
Pursa tuhi, pursa tuhi
Eh mushtub-e-zambar fishaan
Paike naseem-e-sub haram
Aye charagar insanafas
Aye munise beemar-e-gham
Aye kaasid-e-parkhundapaye
Tujhko usi gul ki kasam
Ibnil tayari has saba
Yauman ila-ar-dil-haram
Ballib salami roza tann
Fi-han Nabi-al-mohtaram

Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sawarjayenge
Haami-e-bekasaan kya kahega jahan
Aapke darr se khaali agar jayenge

Koi apna nahi gham ke maare hein hum
Aapke darr pe faryaad laaye hein hum
Ho Nigah-e-karam, warna chokhat pe hum
Aapka naam le le ke marjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Maikashon aao Madine chale
Aao Madine chale, chalo Madine chale
Aao Madine chale, Isi mahine chale
Aao Madine chale, Haj ke mahine chale
Dukh ranj-o-alam sab chahat-te hein
Hasnain ke sadqe batt-te hein
Madine chale, aao Madine chale
Chalo Madine chale, aao Madine chale

Tajalliyon ki ajab hai fazaa Madine mein
Nigah-e-shawk ki hai inteha Madine mein
Gham-e-hayat na khauf-e-khazaa Madine mein
Namaz-e-ishq karenge adaa Madine mein
Idhar udhar na bhatakte phiro khuda ke liye
Barah-e-raas hai raahe-e-khuda Madine mein
Madine chale, aao Madine chale
Isi mahine chale, chalo Madine chale
Maikashon aao aao Madine chale
Dast-e-saakhi-e-kausar se peene chale
Yaad rakho agar, uthgayi ek nazar
Jitne khaali hai sabb jaam bharjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Khof-e-tuufan hai, bijliyon ka hai darr
Saqt mushkil hai Aaqa kidhar jaaye hum
Ap hi na garr na lenge, hamari khabar
Hum musibat ke maare kidhar jayenge
Aapke darr se na koi khaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
Ho habeeb-e-hazin par bhi Aaqa nazar
Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Tajdar-e-Haram