Ya Khwaja e hindalwali Mehboobe sultane haram-Rahat Fateh Ali

Ya Khwaja e hindalwali
Mehboobe sultane haram
Bekaso pe karam ho jaye karam

Ai Mustafa ke laadle
Hai dilbare shahe umam
Bekaso pe karam ho jaye karam

Noor nigahe panjtan
Tanveere shahe zulminan
Khwaja Moinuddin Hasan
Ye waqt hai mujhpe kathin
Sar pe hai toofane alam
Bekaso pe karam ho jaye karam

Khairunnisa ke waaste
Mushkil kusha ke waaste
Kul ambiya ke waaste
Khwaja khuda ke waaste
Majboor ka rakh lo bharam
Bekaso pe karam ho jaye karam

Ai taajdare auliya
Hami nahi koi mera
Sunlo khudara iltija
Fariyad hai Khwaja piya
Tadpa rahe hai dardo gam
Bekaso pe karam ho jaye karam

Ab aankh hai gam se bhari
Hai dard ki shiddat badi
Tu kaat de gam ki kadi
Rota hai pur noor nam har ghadi
Kehte hai aasu dam ba dam
Bekaso pe karam ho jaye karam