Hai Nazar Me Jamal E Habibe E Khuda-yusuf khan Ejaz

Hai nazar me Jamal-e-Habib-e-Khuda
Jinki tasveer sine me maujud hai
Jisne lakar kalame ilahi diya
Wo Muhammad Madine me maujud hai

Ful khilte hai padh padh ke salle ala
Jhoom kar keh rahi hai ye bade saba
Aisi khushboo gulon ke chaman me kahan
Jo Nabi ke pasine me maujood hai

Chhodna tera taiba gawara nahi
Sari duniya me aisa nazara nahi
Aisa manzar zameen pe na dekha kahin
Jaisa manzar Madine me maujud hai

Maine mana ke jannat bahot hai haseen
Chhod kar mai Madina na jau kahin
Yun to jannat me sab hai Madina nahi
Aur jannat Madine me maujud hai

Jabki toofan safine se takra gaya
Maine usse ye be sakhta keh diya
Kya bigadega tu kashtiye deen ka
Na khuda jab safine me maujud hai